• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jo Nazar Se Bayan Hoti Hai

Jo Nazar Se Bayan Hoti Hai

jo nazar se bayan hoti hai

kya hasin dastan hoti hai

pattharon ko na Thokaren maaro

pattharon men bhi jaan hoti hai

jis ko chhu do tum apne qadmon se

vo zamin asman hoti hai

be-piye bhi surur hota hai

jab mohabbat javan hoti hai

zindagi to usi ki hai jis par

vo nazar mehrban hoti hai

jitne unche ḳhayal hote hain

utni unchi uḌaan hoti hai

aarzu ki zaban nahin hoti

aarzu be-zaban hoti hai

jis men shamil ho talḳhi-e-gham bhi

kitni miThi vo taan hoti hai

in ki nazron ka ho fusun jis men

vo ghazal ki zaban hoti hai

ḳhaar ki zindagi-e-be-raunaq

phuul ki pasban hoti hai

kaun deta hai ruuh ko avaz

jab haram men azaan hoti hai

ishq ki zindagi ‘hafiz’ na puchh

har ghaḌi imtihan hoti hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Teri Tegh Abru Ki Tuk Samne Kar dekhen To

poet

Sar-E-dasht dil Jo Sarab Tha Koi Khwab Tha

ahmad-tariq

Waqt Ka Kya Hai Mere Yar Badal Jata Hai

Ye Log KHwab Bahut Karbala Ke Dekhte Hain

ahmad-javed

Kiya Hai dil Ne Begana Jahan-e-Murgh-O-Mahi Se

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet