kitna jan-soz hai manzar miri tanha.i ka
hausla mujh men nahin anjuman-ara.i ka
main ne samjha tha jise ba.is-e-taskin-e-nazar
us ne saman kiya hai miri rusva.i ka
meri baton men naya rang kahan se aa.e
mere dil men bhi hai ik zaḳhm shanasa.i ka
baat to jab hai ki jazbon se sadaqat phuTe
yuun to da.ava hai har ik shaḳhs ko sachcha.i ka
ruuh men jazba-e-ulfat ko fuzun paata huun
jab ḳhayal aata hai mujh ko tiri ra.ana.i ka
ai ‘ḳhayal’ atish-e-ehsas bhaḌak ja.egi
aap da.ava na karen dhuup men dana.i ka
Leave a Reply