sab ko miT jaana hai taqvim-e-fana kya dekhun
zindagi kyuun na tira husn-e-dil-ara dekhun
dil-e-pur-ḳhun ko to mil jaa.e faragh-e-ishrat
kab talak dard se us ka main taḌapta dekhun
main ki huun kushta-e-naumidi-e-javed kabhi
apni mauhum ummidon ka bar-ana dekhun
zindagi koi ma.ani koi matlab to ho
ye na ho qafila-e-jan ka guzarna dekhun
sub.h se shaam talak dhuup hi oḌhi main ne
koi dam ab to main badal ka barasna dekhun
yuun to tabani-e-duniya pe nazar rukti nahin
ye na ho chehra-e-insan ko main utra dekhun
gharq ho ja.unga apne men vo dariya main huun
kab talak raahi samundar ka ishara dekhun
Leave a Reply