dard-e-furqat ko kya kare koi
haa.e aadat ko kya kare koi
dil ki hasrat ko kya kare koi
is musibat ko kya kare koi
pyaar karne se aar hai to kaho
achchhi surat ko kya kare koi
doston ko to rokun shoḳhi se
saari ḳhilqat ko kya kare koi
chashm-o-dil se chhupa.un dard-e-nihan
rang-e-surat ko kya kare koi
apne dil ka to ḳhuun kar Dalun
un ki surat ko kya kare koi
un ka farman hai ki ah-o-fughan
ma-badaulat ko kya kare koi
nasehon ko salam bhi kar luun
us nasihat ko kya kare koi
aarzu hai to ḳhauf bhi kuchh hai
paak niyyat ko kya kare koi
tujh men jo baat chahiye vo nahin
le ke surat ko kya kare koi
vo ḳhafa hon to main ḳhata kar luun
chheḌ hujjat ko kya kare koi
mehrban hain janab-e-dil us par
aise hazrat ko kya kare koi
meri taqrir men to hai tasir
teri sohbat ko kya kare koi
naam bhi un ka ham nahin lete
ab shararat ko kya kare koi
ai safi’ vo bigaḌ ga.e man kar
teri qismat ko kya kare koi
Leave a Reply