samundar ka tamasha kar raha huun
main sahil ban ke pyasa mar raha huun
agarche dil men sahra-e-tapish hai
magar main Dubne se Dar raha huun
main apne ghar ki har shai ko jala kar
shabistanon ko raushan kar raha huun
vahi laa.e mujhe dar-o-rasan par
main jin logon ka paighambar raha huun
vahi patthar laga hai mere sar par
azal se jis ko sajde kar raha huun
tarashe shahr main ne ‘baḳhsh’ kya kya
magar ḳhud ta-abad be-ghar raha huun
Leave a Reply