mila jo koi yahan ramz-ashna na mujhe
vabal-e-hosh raha harf-e-mahramana mujhe
udaas phirti hai shadab vadiyon ki mahak
hai ka.enat yahi kunj-e-ashiyana mujhe
adu ki sang-zani ki nahin mujhe parva
tire karam ka mayassar hai shamiyana mujhe
koi ilaj-e-gham-e-zindagi bata vaa.iz
sune hue jo fasane hain phir suna na mujhe
subuk-sari men zamin-e-vatan bhi tang hui
kashan kashan liye phirta hai ab-o-dana mujhe
mire nasib men hai kisht-e-jan ki virani
na aa.i raas rah-o-rasm-e-ashiqana mujhe
bhaTak raha huun usi ki talash men ‘aḳhtar’
ki jis dayar ko chhoḌe hua zamana mujhe
Leave a Reply