
Jigar Moradabadi
vo jo ruThen yuun manana chahiye
zindagi se ruuTh jaana chahiye
himmat-e-qatil baḌhana chahiye
zer-e-ḳhanjar muskurana chahiye
zindagi hai naam johd o jang ka
maut kya hai bhuul jaana chahiye
hai inhin dhokon se dil ki zindagi
jo hasin dhoka ho khana chahiye
lazzaten hain dushman-e-auj-e-kamal
kulfaton se ji lagana chahiye
un se milne ko to kya kahiye ‘jigar’
ḳhud se milne ko zamana chahiye

Leave a Reply