rahi yaar ankhon men hasrat yahi hai
hamari namaz aur ibadat yahi hai
khudai men hai ye usi but ka jalva
ki parda hai sab aur haqiqat yahi hai
kaha vo ki mansur ne marte marte
raha haq zaban par sadaqat yahi hai
rahe chashm-e-nam dil ho pahlu men muztar
suna hai nishan-e-mohabbat yahi hai
meri qabr tak us mere dard-e-dil ne
diya saath mera rafaqat yahi hai
hasin jo nazar aaya us ko diya dil
hamari hamesha se aadat yahi hai
dar-e-shah-e-‘varis’ pe dam nikle ‘aughat’
tamanna yahi aur hasrat yahi hai