ik daman-e-rangin lahraya masti si faza men chha hi ga.i
jab sair-e-chaman ko vo nikle phulon ki jabin sharma hi ga.i
ye sehn-e-chaman ye bagh-e-jahan ḳhali to na tha nik.hat se magar
kuchh daman-e-gul se duur tha main kuchh bad-e-saba katra hi ga.i
ehsas-e-alam aur pas-e-haya us vaqt ka aansu sahba hai
us chashm-e-hasin ko kya kahiye jab pi na saki chhalka hi ga.i
ḳhud-bin tha mizaj-e-husn magar daman-e-mohabbat chhu hi gaya
andaz-e-taghaful kuchh bhi sahi kuchh un ki nazar farma hi ga.i
har sho.ala-gar-e-ahd-e-zulmat anjam se apne Darta hai
jab zikr-e-sahar mahfil men chhiḌa kuchh sham.a ki lau tharra hi ga.i
is daur men kitne shaiḳh-e-haram mai-ḳhane ka rasta puchh ga.e
saaqi ki nazar begana sahi kuchh kar-e-jahan samjha hi ga.i
ik aah jo sho.ala-bar hui aalam men sharare phail ga.e
ik mauj jo muztar ho ke uThi dariya ka lahu garma hi ga.i
tahzib ke ra.ana paikar se ye bar-e-amanat uTh na saka
nazura-e-ahd-e-hazir ki nazuk thi kamar bal kha hi ga.i
zahrab-e-zamana pi pi kar jo ahl-e-junun the raah lage
sha.er ko ‘nushur’ ik zulf-e-dota gham de na saki uljha hi ga.i
Leave a Reply