partav-e-ruḳh ka tire dil men guzar rahta hai
saath a.ine ke a.ine ka ghar rahta hai
aj-kal josh pe ye dida-e-tar rahta hai
mardum-e-shahr ko tufan ka Dar rahta hai
qatl-e-ushshaq unhen madd-e-nazar rahta hai
nimcha aTh-pahr zeb-e-kamar rahta hai
soz-e-ulfat ka hai parvana dil-e-bazm apna
ye vo pamba hai nihan jis men sharar rahta hai
bazm-e-ulfat men qadam rakhte hain jo log apna
sham.a ki tarah kaf-e-dast pe sar rahta hai
chashm-e-maigun se hai saaqi ki mohabbat jis ko
nashsha-e-mai men vo chor aTh-pahr rahta hai
qaul-o-iqrar pe kyuun chhoḌ diya dahan-e-yar
is nadamat se gareban men sar rahta hai
ab to dam-bhar unhen fursat nahin ara.ish se
aa.ina aTh-pahr pesh-e-nazar rahta hai
kushta-e-tegh-e-nigah talib-e-didar rahen
chashm-e-janan ko ye manzur-e-nazar rahta hai
ye bhi hain us falak-e-husn ke juuya miri tarh
chand suraj ko jo din-rat safar rahta hai
jab bigaḌte hain to manne ka vo lete nahin naam
pahron apna qadam-e-yar pe sar rahta hai
bela baTenge savari men kisi gul ke ye kya
ghunchon ki muTThiyon men kis liye zar rahta hai
main vo divana huun jab fasl-e-bahar aati hai
mere virane men pariyon ka guzar rahta hai
vasl ki shab bhi nahin chain se kaTne paati
har-dam azurdagi-e-yar ka Dar rahta hai
dekhne vaale samajhte hain abas tar-e-nazar
meri ankhon men tira mu-e-kamar rahta hai
ghair ke bas men ‘qalaq’ kyuun na ho vo sim-badan
qabu-e-yar men ganjina-e-zar rahta hai
Leave a Reply