kahan siyasat-e-aghyar ne halak kiya
hamen to apne hi afkar ne halak kiya
kisi ki maut ka baa.is thi ḳhana-virani
kisi ko raunaq-e-gulzar ne halak kiya
kisi ke vaste phulon ki sej mujib-e-marg
kisi ko jada-e-pur-ḳhar ne halak kiya
kisi ko sho.ala-e-ḳhurshid ne jila Daala
kisi ko saya-e-ashjar ne halak kiya
savad-e-sham kisi ke liye payam-e-ajal
kisi ko sub.h ke asar ne halak kiya
kisi ki jaan ga.i dekh kar tira jalva
kisi ko hasrat-e-didar ne halak kiya
koi shikar hua apni hichkichahaT ka
kisi ko jur.at-e-iz.har ne halak kiya
kisi ka taḳhta bichhaya nasib-e-ḳhufta ne
kisi ko tala-e-bedar ne halak kiya
vahi halaku ki jis ne kiye hazaron halak
use bhi vaqt ki yalghar ne halak kiya
kisi ko maar gaya us ka kam-suḳhan hona
kisi ko kasrat-e-ash.ar ne halak kiya
vahi ḳhasara hai sab ki tarah hamen darpesh
hamen bhi garmi-e-bazar ne halak kiya
kabhi tabah hue mashvara na milne se
kabhi navishta-e-divar ne halak kiya
mili thi jis ke labon se na.i hayat hamen
usi ki shoḳhi-e-guftar ne halak kiya
ḳhuda ka shukr ki pasti na ham ko khench saki
hamen bulandi-e-me.ar ne halak kiya
Leave a Reply