kya nigahon ne koi ḳhvab sajaya na kabhi
kya kisi ko bhi qarib apne bulaya na kabhi
aate rahne ke liye shukriya ai yaad ki dost
main hi mujrim huun tiri yaad men aaya na kabhi
us ki album men to tasvir miri hai maujud
us ne tasvir ko siine se lagaya na kabhi
main tujhe kaise bata deta dil-e-naz ka haal
hal-e-dil main ne to ḳhud ko bhi bataya na kabhi
dil chura kar mira kahta hai mujhe chor ye ab
ḳhud hi chori hua us ne to churaya na kabhi
qahqahe auron ki ḳhushiyon men rahe hain shamil
mere halat ne ḳhud mujh ko hansaya na kabhi
main ne auron se suna hai ki nasim aati hai
kyuun mujhe vaqt-e-sahar us ne jagaya na kabhi
teri ‘javed’ ye aadat hai ḳhuda ko bhi pasand
tu ne nazron se kisi ko bhi giraya na kabhi
Leave a Reply