lījiye ham se bā-kamāl log bhī aam ho ga.e
jin se gurez thā hameñ ham se vo kaam ho ga.e
aap keī badduā-e-dil āḳhir asar dikhā ga.ī
ham ko bhī ishq ho gayā ham bhī ġhulām ho ga.e
chādar-e-ehtiyāt aaj sar se havā jo le uḌī
zulf ke saare pech-o-ḳham manzar-e-ām ho ga.e
bāġh-e-badan meñ har taraf kaliyāñ chaTak chaTak ga.iiñ
bād-e-sabā chalī to ham ḳhushbū ḳhirām ho ga.e
aap se aap chhaT ga.e abr-e-ghaner hijr ke
ham bhī shab-e-siyāh se māh-e-tamām ho ga.e
mo.ajiza ye nahīñ to kyā nazreñ milīñ na baat keī
phir bhī salām ho ga.e phir bhī payām ho ga.e
ye kār-e-ishq kā safar aise ‘alīnā’ tai huā
dil un kā ham ne rakh liyā ḳhud un ke naam ho ga.e