na ibtida ki ḳhabar hai na intiha ma.alum
raha ye vahm ki ham hain so vo bhi kya ma.alum
dua to ḳhair dua se umid-e-ḳhair bhi hai
ye mudda.a hai to anjam-e-mudda.a ma.alum
hua na raz-e-raza faash vo to ye kahiye
mire nasib men thi varna sa.i-e-na-ma.alum
miri vafa ke siva ghayat-e-jafa kyuun ho
tiri jafa ke siva hasil-e-vafa ma.alum
kuchh un ke rahm pe thi yuun hi zindagi mauquf
ki un ko raz-e-mohabbat bhi ho gaya ma.alum
tire ḳhayal ke asrar be-ḳhudi men khule
hamin chhupa na sake varna dil ko kya ma.alum
fareb-e-amn men kuchh maslahat to hai varna
sukun-e-kashti o taufiq-e-na-ḳhuda ma.alum
vo iltifat ki tha us ki intiha bhi hai
ḳhuda ki maar ki dil ko yahi na tha ma.alum
ye zindagi ki hai rudad-e-muḳhtasar ‘fani’
vajud-e-dard musallam ilaaj na-malum
Leave a Reply