aise hijr ke mausam kab kab aate hain
tere alava yaad hamen sab aate hain
jagti ankhon se bhi dekho duniya ko
khvabon ka kya hai vo har shab aate hain
jazb kare kyuun ret hamari ashkon ko
tera daman tar karne ab aate hain
ab vo safar ki taab nahin baaqi varna
ham ko bulave dasht se jab tab aate hain
kaghaz ki kashti men dariya paar kiya
dekho ham ko kya kya kartab aate hain
Leave a Reply