jise kal raat bhar puuja gaya tha
vo but kyuun sub.h ko TuuTa hua tha
agar sach ki haqiqat ab khuli hai
to jo ab tak nazar aaya tha kya tha
agar ye talḳhiyon ki ibtida hai
to ab tak kaun sa amrit piya tha
khula hai mujh pe ab duniya ka matlab
magar ye raaz pahle bhi khula tha
main jis men huun ye duniya muḳhtalif hai
jahan main tha vo aalam dusra tha
main ḳhud ko maar kar pahuncha yahan tak
to yaad aaya ki main to mar chuka tha
miri main aur tiri main donon harin
main banda huun magar tu to ḳhuda tha
main ab jo munh chhupa.e phir raha huun
to kya main vaqa.i chehra-numa tha
Leave a Reply