apne mehvar se jab utar ja.un
phuul ki tarah phir bikhar ja.un
lauT phir aa.uun kaise mehvar par
koi batlao kya main kar ja.un
jaane kya kah rahi hai duniya ab
pahle kahti thi kyuun na mar ja.un
mujh se hargiz se na ho sakega kabhi
ḳhud ko auron ke jaisa kar ja.un
Duub ja.un bhanvar ke saath kahin
lahar ke saath phir ubhar ja.un
lauT aaya to huun main mehvar par
ab ye ḳhvahish hai phir bikhar ja.un
Leave a Reply