lagunga ḳhush magar naraz huun main
zamane ka naya andaz huun main
bahut ḳhush huun tumhen ḳhush dekh kar main
ye gham bhi hai nazar-andaz huun main
jise mujh par yaqin bilkul nahin hai
ik aise shaḳhs ka hamraz huun main
use anjam ki jaldi bahut thi
main kahta rah gaya aghaz huun main
faqat sunna nahin mahsus karna
ḳhamoshi men chhupi avaz huun main
na.i dhun par bajaya ja raha huun
purane daur ka ik saaz huun main
mujhe dushman samajhna hai samajh lo
tumhara dost huun dam-saz huun main
Leave a Reply