tha to sarsabz, vo pauda to hara tha
aur tandurust thiin shakhen bhi
magar us ka koi qad na nikal paaya tha
go bahut saal vo sincha bhi gaya
mere maali ko shikayat thi
kabhi phuul na aae us par
aur kai saal ke baad
mere maali ne use khod nikala hai zamin se
saare baghiche men phaili hui nikli hain jaden
barson paale hue rishte ki tarah
jis ki shakhen to hari rahti hain lekin
us par, phuul phal aate nahin
Leave a Reply