koii pahaa.d ye kahtaa thaa ik gilahrii se
tujhe ho sharm to paanii me.n jaa ke duub mare
zaraa sii chiiz hai is par Guruur! kyaa kahnaa!
ye aql aur ye samajh ye shuuur! kyaa kahnaa!
Khudaa kii shaan hai naa-chiiz! chiiz ban baithe.n!
jo be-shuuur ho.n yuu.n baa-tamiiz ban baithe.n!
tirii bisaat hai kyaa merii shaan ke aage
zamii.n hai past mirii aan-baan ke aage
jo baat mujh me.n hai tujh ko vo hai nasiib kahaa.n
bhalaa pahaa.d kahaa.n jaanvar Gariib kahaa.n!
kahaa ye sun ke gilahrii ne mu.nh sambhaal zaraa
ye kachchii baate.n hai.n dil se inhe.n nikaal zaraa!
jo mai.n ba.dii nahii.n terii tarah to kyaa parvaa!
nahii.n hai tuu bhii to aaKhir mirii tarah chhotaa
har ek chiiz se paidaa Khudaa kii qudarat hai
koii ba.daa koii chhotaa ye us kii hikmat hai
ba.daa jahaan me.n tujh ko banaa diyaa us ne
mujhe daraKht pe cha.dhnaa sikhaa diyaa us ne
qadam uthaane kii taaqat nahii.n zaraa tujh me.n
nirii ba.daaii hai! Khuubii hai aur kyaa tujh me.n
jo tuu ba.daa hai to mujh saa hunar dikhaa mujh ko
ye chhaaliyaa hii zaraa to.d kar dikhaa mujh ko
nahii.n hai chiiz nikammii koii zamaane me.n
koii buraa nahii.n qudarat ke kaar-Khaane me.n
Leave a Reply