main pursish-e-gham-e-furqat ki daad deta huun
tiri latif nadamat ki daad deta huun
malal-e-tark-e-marasim to kuchh nahin lekin
is ehtiyat-e-mohabbat ki daad deta huun
kahan bahisht kahan zindagi magar naseh
main tere husn-e-aqidat ki daad deta huun
tabahiyan bhi mohabbat ko raas aa na sakin
sitam-zarifi-e-fitrat ki daad deta huun
o muskura ke nigahon ko pherne vaale
main tere azm-e-baghavat ki daad deta huun
mire ḳhulus ko lafzon se napne vaalo
tumhare husn-e-basirat ki daad deta huun
kisi se sunta huun jab dushmani ka zikr ‘arshad’
to doston ki inayat ki daad deta huun
Leave a Reply