qadam qadam nishan DhunDhta raha
main ik naya jahan DhunDhta raha
bahut se qafile mile the raah men
main apna karvan DhunDhta raha
nikal gaya jo main hudud-e-vaqt se
to mujh ko asman DhunDhta raha
idhar main dar-ba-dar makan ke liye
udhar mujhe makan DhunDhta raha
ajiib shaḳhs huun ḳhushi ka ek pal
ghamon ke darmiyan DhunDhta raha
mujhe bayan kar raha tha koi shaḳhs
main apni dastan DhunDhta raha
Leave a Reply