mohabbat na-samajh hoti hai samjhana zaruri hai
jo dil men hai use ankhon se kahlana zaruri hai
usulon par jahan aanch aae takrana zaruri hai
jo zinda ho to phir zinda nazar aana zaruri hai
nai umron ki khud-mukhtariyon ko kaun samjhae
kahan se bach ke chalna hai kahan jaana zaruri hai
thake-hare parinde jab basere ke liye lauten
saliqa-mand shakhon ka lachak jaana zaruri hai
bahut bebak ankhon men taalluq tik nahin paata
mohabbat men kashish rakhne ko sharmana zaruri hai
saliqa hi nahin shayad use mahsus karne ka
jo kahta hai khuda hai to nazar aana zaruri hai
mire honton pe apni pyaas rakh do aur phir socho
ki is ke baad bhi duniya men kuchh paana zaruri hai
Leave a Reply