
Sultan Akhtar
sa.at-e-marg-e-musalsal har nafas bhari hui
phir faza-e-jan pe sadiyon ki thakan taari hui
ḳhanaman-barbad yaden dastaken dene lagin
jab kabhi apni taraf baḌhne ki tayyari hui
us ne apne aap ko ham par munavvar kar diya
phir bhi chashm-e-shauq men raushan na chingari hui
ab kisi ki bhi nazar uThti nahin su-e-falak
ham zamin valon ko aḳhir kaisi bimari hui
vaqt ki daldal men ḳhush-ahang lamhe dhans ga.e
ya.ani har saa.at sukut-e-shab ki hai maari hui
is tarah be-kaif mausam to kabhi guzra na tha
phuul hi barse na to ab ke sharar-bari hui
ab dayar-e-dil men ‘aḳhtar’ hu ka aalam bhi nahin
kis aziyyat-nak mausam se miri yaari hui

Leave a Reply