• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hijr-Zada Aaankhon Se Jab Aansu Nikle KHamoshi Se

Hijr-Zada Aaankhon Se Jab Aansu Nikle KHamoshi Se

hijr-zada a.ankhon se jab aansu nikle ḳhamoshi se

kisi ne samjha raat samay do diip jale ḳhamoshi se

main bhi aag laga sakta huun is barsat ke mausam men

thoḌi duur talak vo mere saath chale ḳhamoshi se

shaam ki dhimi aanch men jab ḳhurshid naha kar so jaa.e

manzar aapas men milte hain ḳhuub gale ḳhamoshi se

barf ki parten jab bhi dekhun main unchi divaron par

jism sulagne lagta hai aur dil pighle ḳhamoshi se

chahat ke phir phuul khilenge aap ki ye ḳhush-fahmi hai

kapḌe mere samne mausam ne badle ḳhamoshi se

din ke ujalon men shayad main ḳhud se bichhḌa rahta huun

raat ki tariki men ik ḳhvahish machle ḳhamoshi se

jab bhi nadida sapnon ne man angan men raqs kiya

teri yaad ke jugnu chamke raat Dhale ḳhamoshi se

mulk-e-suḳhan ke shahzadon ki saf men khaḌa ho ja.ega

gar tire lahje ki dhaḌkan ḳhushbu ugle ḳhamoshi se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Aao Jo TuTe Hue KHwab Hain Taqsim Karen

Fulan Se Dekho Falane Ki Baat Karta Hai

kishwar-naheed

dil Ne Chaha Tha Ki Ho Aabla-Pai Rukhsat

poet

Tu Agar Be-Naqab Ho Jata

jaun-eliya

Safar Ke Waqt

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet