asudgan-e-hijr se milne ki chaah men
koi faqir baitha hai sahra ki raah men
phir yuun hua ki shauq se kholi na main ne aankh
ik khvab aa gaya tha miri khvab-gah men
is baar kitni der yahan huun khabar nahin
aa to gaya huun phir se tiri bargah men
phir kar-e-zindagi ne mujhe chhodna nahin
kuchh din yahin guzar luun apni panah men
yaron ne aa ke jaan bachai miri ki main
khud se ulajh pada tha yunhi khvah-makhvah main
Leave a Reply