nikalna ho dil se dushvar kyuun
ye ik aah hai is ka paikan nahin
ye haath us ke daman talak pahunche kab
rasai jise ta-gareban nahin
falak ne bhi sikhe hain tere se taur
ki apne kiye se pasheman nahin
mira nama-e-shauq talvon tale
na maliye ye khun-e-shahidan nahin
usi ki si kahne lage ahl-e-hashr
kahin pursish-e-dad-khvahan nahin
Leave a Reply