ho tark kisi se na mulaqat kisi ki
yarab na bigaḌ jaa.e bani baat kisi ki
paanv ko jo phaila ke sar-e-sham se so.e
kya jaane vo kis tarah ka.i raat kisi ki
farma.iye kyuun kar vo sahe aap ki gaali
uTh sakti na ho jis se kaḌi baat kisi ki
farma.ishen tum roz karo shauq se lekin
ye jaan lo thoḌi si hai auqat kisi ki
mumkin hai ki samjhe na ‘hafiz’ aap ki chalen
sha.er se bhi chalti hai kahin ghaat kisi ki
Leave a Reply