karte phirte hain ghazalan tira charcha sahab
ham bhi nikle hain tujhe dekhne sahra sahab
ye kuchh asar hain ik ḳhvab-shuda basti ke
yahin bahta tha vo dil naam ka dariya sahab
tha yahi haal hamara bhi magar jagte hain
kya ajab ḳhvab sunaya hai dobara sahab
sahal mat jaan ki tujh ruḳh pe ḳhuda hote hue
dil hua jaata hai gard-e-rah-e-duniya sahab
ham na kahte the ki us ko nazar-andaz na kar
aa.ina TuuT gaya dekh liya na sahab
yuun hi din Duub raha ho to ḳhayal aata hai
yuun hi duniya se guzar jaate hain kya kya sahab
absharon ki jagah dil men kisi ke shab-o-roz
ḳhaak uḌti ho to vo ḳhaak likhega sahab
sach kaha aap ki duniya men hamara kya kaam
ham to bas yunhi chale aa.e the achchha sahab
tum to kya ishq-e-bala-ḳhez ke aage bahar
miir sahab hain baḌi chiiz na mirza sahab
Leave a Reply