qad-avar logon ka qad hi naapa jaata hai
is duniya men sone ko hi parkha jaata hai
tum bazar men aa to ga.e ho lekin dhyan rahe
shaam se pahle bazaron se lauTa jaata hai
kaise kaise chehron se rang uḌne lagte hain
jab bhi ham donon ko saath men dekha jaata hai
apni haqiqat janne vaala zinda rahta hai
aur is se munh moḌne vaala marta jaata hai
pyaas nahin ehsas ki qimat samne aati hai
jab jab bhi dariya ko samundar samjha jaata hai
Leave a Reply