na rota zar-zar aisa na karta shor-o-shar itna
ilahi kya karun dard-e-jigar itna jigar itna
bulane ke tariqe se bulaya kijiye ham ko
rahe malhuz-e-ḳhatir kam se kam bar-e-digar itna
vo jitna mujh se milte hain usi milne men ḳhubi hai
kisi se bhi mile to bas mile har ik bashar itna
tire saath aaj kaise kaise zalim yaad aa.e hain
na ro.e the na ro.enge kabhi ham umr-bhar itna
vahi log aap ke nazdik sachche ashiqon men hain
ki jin ki aankh men aansu nahin hai shor-o-shar itna
baḌe bhole hain kya duniya men bhole aise hote hain
unhin main kya samajhta huun na samjhe umr-bhar itna
nahin ma.ashuq to phir kya bala hain koi aafat hain
naya ghussa hai un ka aaj itni baat par itna
vo mujh se kis liye milte hain kya ma.alum logon ko
samajhte honge sab un par bhi hai is ka asar itna
tire ashiq ki surat ab to pahchani nahin jaati
satate hain bhala is tarah aisa is qadar itna
kisi surat ye shan-e-dilbari dekhi nahin jaati
miri ankhen bhi le ja aur ik ehsan kar itna
kisi ko apni barbadi ka baa.is kya bata.en ham
mohabbat hai buri shai janta hai har bashar itna
luTeron ki ban aa.e mujh ko shadi marg ho jaa.e
kaha tha kis ne ai daata mire daman ko bhar itna
zara bahr-e-ḳhuda insaf kar aur bhulne vaale
taghaful sheva-e-mashuq hota hai magar itna
nahin hai be-ḳhudi hi ki tamanna ham ko ai saaqi
tire maston ka sadqa kuchh zara sa ghunT-bhar itna
adu ham se tumhare zulm ka shikva nahin karte
dikhate hain ki dekho ham bhi rakhte hain jigar itna
mujhe jiine se tum mayus na-ummid hi rakkho
tasalli do magar itni dilasa do magar itna
diya ḳhat un ko lekin kab diya jab the vo ghusse men
na samjha tha payami ki samajh itni hai sar itna
safi’ kyuun qadr ka talib hua hai is zamane men
are kam-baḳht tere paas kab hai mal-o-zar itna
Leave a Reply