naujavan kaun hai to
aaya hai kis nagri se
naam kya hai tira
kya kaam hai akhir mujh se
main samajhta huun ki is vaqt munasib nahin aana tera
tu ne kis zoam men is vaqt pukara hai mujhe
tu ne kya soch ke dastak di hai
aaj ki shab mire soe hue darvaze par
naujavan kaun hai tu
naujavan jo bhi hai tu
faisla soch samajh kar ye kya hai main ne
laakh dastak koi de aaj ki raat
ghar ka darvaza kisi par bhi na ab kholunga
chahe mehman ho ya koi hava ka jhonka
sach to ye hai ki mujhe
ab to un taaza havaon se bhi dar lagta hai
naujavan thiik sahi
to mujhe janta hai main bhi tujhe janta huun
thi mulaqat tiri aur miri aaj se barson pahle
lekin ab us ka ye matlab to nahin
tu samajh kar mujhe ham-umr apna
jab bhi chahe mire darvaze pe de kar dastak
ratjage mil ke manane ke liye
mujh ko bulane aa jaae
ja miyan aur kahin mujh ko pareshan na kar
Leave a Reply