• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wo Rangat Tu Ne Ai Gul-Ru Nikali

Wo Rangat Tu Ne Ai Gul-Ru Nikali

poet

vo rangat tu ne ai gul-ru nikali

nichhavar ko gulon ne bu nikali

mizaj-e-bu-e-sumbul kar ke mauquf

saba nai nikhat-e-gesu nikali

na thi jaane ki us tak raah dil ki

chhuri se chiir ke pahlu nikali

nikasi jab na dekhi yaas dil ki

baha ke aath aath aansu nikali

hamari ruuh ik rashk-e-chaman ne

sungha ke phuul ki khushbu nikali

mire sayyad ne bulbul ki mayyat

qafas se tod ke baazu nikali

kiya us se jo khush-chashmi ka daava

tiri jaegi aankh aahu nikali

sulaimani dikha di shaan tum ne

pari-ru maang vo khush-ru nikali

nikala husn ka arman tu ne

miri hasrat na ai dil-ju nikali

chaman men bhini bhini bu ne un ki

na basne di gai shabbu nikali

dahan-e-zakhm se talvar chumi

ba-shakl-e-bosa-e-abru nikali

qayamat ka shabab us ne nikala

‘sharaf’ changez-khani khu nikali

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Kaif-E-Gham Lutf-E-Alam Yaad Aaya

Rah Mein Shahr-E-Tarab Yaad Aaya

Aadmi Apni Zat Mein Tanha

KHwab Tabir Mein Dhalte Hain Yahan Se Aage

KHamosh Hain KHamosh Magar Dekh Rahe Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet