koi har maraz ki dava banTta hai
ḳhulus-o-mohabbat vafa banTta hai
masiha.i par us ki qurban jaao
maraz dene vaala shifa banTta hai
na dekha hai jis ne kabhi apna chehra
vahi shahr men a.ina banTta hai
samajhta hai ḳhud ko jo bahlol-e-dana
chalo chal ke dekhen vo kya banTta hai
yahan kaun kya kis ko deta hai har ik
muqaddar ka likkha hua banTta hai
ḳhuda jis ko taufiq de is jahan men
vahi dard-e-dil ki dava banTta hai
‘vali’ us ki jadu-bayani na puchho
vo ḳhvab-e-haqiqat-numa banTta hai
Leave a Reply