maze ke saath guzrā huuñ mohabbat kī manāzil se
kabhī apnā maqām aayā kabhī un kā maqām aayā
vo lamha bhī kisī kī anjuman meñ kyā qayāmat thā
nigāhoñ kī zabāñ meñ dil ko jab dil kā payām aayā
yakāyak aur dil kī dhaḌkanoñ kā tez ho jaanā
sañbhal ai ishq phir shāyad koī nāzuk maqām aayā
shaguft-e-dil hī ke dam tak thī rañg-o-bū kī duniyā bhī
na phir koī kalī chaTkī na phir koī payām aayā
badal kar rah ga.iiñ ai aarzū qismat kī tahrīreñ
ye kis ke dast-e-nāzuk se mire hāthoñ meñ jaam aayā