Yun Bulane Se Nind Kab Aai

yuuñ bulāne se niiñd kab aa.ī

jab bhī aa.ī hai be-talab aa.ī

ro paḌe dil dayār ke baasī

un ke ghar meñ bahār jab aa.ī

maiñ kisī bazm meñ agar aayā

saath mere tumhārī chhab aa.ī

dil hī dhaḌkā na aañkh hī phaḌkī

kyoñ tirī yaad be-sabab aa.ī

chashm-e-tar tū baras na soch abhī

bhaaḌ dasht-e-junūñ meñ kab aa.ī

yaad kā bhī ajiib aalam hai

jab na aanā use thā jab aa.ī

un se milne kī jab bhī baat chhiḌī

his nigāhoñ meñ jāñ-ba-lab aa.ī

hijr kī dhuup Dhalte-Dhalte Dhalī

vasl kī shub ghaḌī na shab aa.ī

ḳhush-nasībī kī rut bhī kyoñ ‘īraj’

maiñ ne chāhā na thā ki tab aa.ī

Leave a Comment