zaḳhmon ki dukanon pe ḳharidar bhi aa.e
bazar hai to raunaq-e-bazar bhi aa.e
shanon pe yahan sar ki jagah kaase lage hain
gar sar ki bahali ho to dastar bhi aa.e
lo haq ke liye apni jaḌen chhoḌ diin ham ne
ab ghar se nikal kar koi ansar bhi aa.e
koshish ka ye chaak aur ghuma.unga main kab tak
jivan pe mire ab koi akar bhi aa.e
kaam a.enge ye chak-e-gareban ke rafu men
kuchh gham nahin hisse men agar ḳhaar bhi aa.e
Leave a Reply