aankh ho aur koi ḳhvab na ho
nazil aisa kahin azaab na ho
kuchh to mahfuz rakhiye siine men
zindagani khuli kitab na ho
sarf kiije na is qadar ḳhud ko
laakh chaho to phir hisab na ho
is liye kaTta huun ye ghaḌiyan
vaqt ki chaal kamyab na ho
guunj kaisi hai kohsaron men
ye kisi chiḳh ka javab na ho
kya chamakta hai tapte sahra men
dekh chhu kar kahin ye aab na ho
ye jalan piiTh men hai kyuun ‘faruq’
pusht par teri aftab na ho
Leave a Reply