kya main ik harf tha likha yuun hi
mera hona bhi bas hua yuun hi
janti huun ki tum ko pyaar nahin
yuun hi mujh ko laga laga yuun hi
ik ḳhuda ki vo baat karta tha
aur phir ho gaya ḳhuda yuun hi
kya pata kab qubul ho jaa.e
tu bhi to maang liin dua yuun hi
ek ḳhadsha hai bahke qadmon se
DhunD hi len na rasta yuun hi
vo hamare the aur ham un ke
aa ga.i darmiyan ana yuun hi
tum ne jo kuchh kaha kaha yuun hi
main ne bhi sun liya suna yuun hi
ek lamhe men dil hua un ka
ho gaya tha ye faisla yuun hi
kya zaruri hai manzilon ka safar
tu bhi chal koi rasta yuun hi
muḳhtasar si hai dastan ‘mita’
har koi bas jiya jiya yuun hi
Leave a Reply