ki ḳhud insan Dhalta ja raha hai
khalanDara sa koi bachcha hai dariya
samundar tak uchhalta ja raha hai
na kuchh kahta na kuchh sunta hai koi
faqat pahlu badalta ja raha hai
idhar milti nahin sanson se sansen
zamana hai ki chalta ja raha hai
nahin us ko khilaunon ki zarurat
vo ab ḳhud hi bahalta ja raha hai
makanon men na.e rauzan bana lo
hava ka ruḳh badalta ja raha hai
‘najib’ ab to sharar-e-be-hisi se
tira chehra pighalta ja raha hai
Leave a Reply