
Rashid Taraz
kin sarabon ka muqaddar huiin ankhen meri
justuju kar ke jo patthar huiin ankhen meri
kuchh na tham paaya hai is sail-e-ravan ke aage
kaise ashkon ka samundar huiin ankhen meri
ḳhuun rone ke siva kuchh nahin baaqi in men
kaise asuda-e-ḳhanjar huiin ankhen meri
kabhi anvar ko mil paata nahin in men farogh
kya zamin chhoḌ ke banjar huiin ankhen meri
tere irfan ki ye kaun si manzil hai ḳhuda
phir na.e ḳhakon ka mehvar huiin ankhen meri
roz ik hadsa is men bhi sama jaata hai
jite-ji kaisa ye mahshar huiin ankhen meri
miT ga.e aks bhi yadon ki tarah un men ‘taraz’
na-muradi ka vo manzar huiin ankhen meri

Leave a Reply