
Adeem Hashmi
tamam umr ki tanhai ki saza de kar
tadap utha mira munsif bhi faisla de kar
main ab marun ki jiyun mujh ko ye khushi hai bahut
use sukun to mila mujh ko bad-dua de kar
main us ke vaste suraj talash karta huun
jo so gaya miri ankhon ko rat-jaga de kar
vo raat raat ka mehman to umr bhar ke liye
chala gaya mujhe yadon ka silsila de kar
jo va kiya bhi daricha to aaj mausam ne
pahad dhanp diya abr ki rida de kar
kati hui hai zamin koh se samundar tak
mila hai ghaav ye dariya ko rasta de kar
chatakh chatakh ke jali shakh shakh jangal ki
bahut sharar mila aag ko hava de kar
phir is ke baad pahad us ko khud pukarenge
tu laut aa use vaadi men ik sada de kar
sutun-e-reg na thahra ‘adim’ chhat ke tale
main dah gaya huun khud apne ko aasra de kar

Leave a Reply