Rukhsat Ai Ham-Safaro Shahar-E-Nigar Aa Hi Gaya

ruḳhsat ai ham-safaro shahar-e-nigar aa hi gaya

ḳhuld bhi jis pe ho qurban vo dayar aa hi gaya

ye junun-zar mira mere ghazalon ka jahan

mera najd aa hi gaya mera tatar aa hi gaya

aaj phirta ba-chaman darpai-e-gul-ha-e-chaman

gungunata hua zambur-e-bahar aa hi gaya

gesuon valon men abru ke kaman-daron men

ek said aa hi gaya ek shikar aa hi gaya

baghbanon ko batao gul-o-nasrin se kaho

ik ḳharab-e-gul-o-nasrin-e-bahar aa hi gaya

ḳhair-maqdam ko mire koi ba-hangam-e-sahar

apni ankhon men liye shab ka ḳhumar aa hi gaya

zulf ka abr-e-siyah bazu-e-simin pe liye

phir koi ḳhema-zan-e-saz-e-bahar aa hi gaya

ho gai tishna-labi aaj rahin-e-kausar

mere lab par lab-e-lalin-e-nigar aa hi gaya

Leave a Comment