• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kya Pata Hum Ko Mila Hai Apna

Kya Pata Hum Ko Mila Hai Apna

kya pata ham ko mila hai apna

aur kuchh nashsha chaḌha hai apna

kaan paḌti nahin avaz koi

dil men vo shor bapa hai apna

ab to har baat pe hota hai guman

vaqi.a koi suna hai apna

har bagule ko hai nisbat ham se

dasht tak saaya gaya hai apna

ḳhud hi darvaze pe dastak di hai

ḳhud hi dar khol diya hai apna

dil ki ik shaḳh-e-burida ke siva

chaman-e-dahr men kya hai apna

koi avaz koi hangama

qafila rukne laga hai apna

apni avaz pe chaunk uThta hai

dil men jo chor chhupa hai apna

kaun tha madd-e-muqabil ‘baqi’

ḳhud pe hi vaar paḌa hai apna

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dil Mar Chuka Hai Ab Na Masiha Bana Karo

poet

Kis Se Milne Jao Ab Kis Se Mulaqaten Karo

Is Se Pahle Ki Charaghon Ko Wo Bujhta Dekhe

Ek Duniya Ki Kashish Hai Jo Idhar Khinchti Hai

Tum Kab the Qarib Itne Main Kab Dur Raha Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet