hamesha dil havas-e-intiqam par rakkha
khud apna naam bhi dushman ke naam par rakkha
vo badshah-e-firaq-o-visal hai us ne
jo baar sab pa giran tha ghulam par rakkha
kiye hain sab ko ata us ne ohda o mansab
mujhe bhi sina-kharashi ke kaam par rakkha
koi savar utha hai pas-e-ghubar-e-fanaa
qaza ne haath kulah o niyam par rakkha
kisi ne be-sar-o-pai ke bavajud mujhe
zamin-e-sajda o arz-e-qayam par rakkha
Leave a Reply