junun ta.alim kuchh farma raha hai
ḳhirad ka saath chhuTa ja raha hai
baḌhi jaati hai sham-e-bazm ki lau
koi parvana shayad aa raha hai
fana ka pesh-rau is ko samajhiye
jo lamha zindagi ka ja raha hai
ilahi sharam rakhna raz-e-dil ki
kisi ka naam lab par aa raha hai
tiri raushan-jabin ka hai vo aalam
charagh-e-mah bhi sharma raha hai
nigah ne shakl tak dekhi nahin hai
pas-e-parda koi taḌpa raha hai
‘nihal’ ankhen uTha bahr-nazara
koi su-e-gulistan aa raha hai
Leave a Reply