kya saath tira duun ki main ik mauj-e-hava huun
bas ek nafas arz-e-tamanna ko ruka huun
rahta huun bagulon ki tarah raqs men be-tab
ai ham-nafaso main dil-e-sahra se uTha huun
qatra huun main dariya men mujhe kuchh nahin ma.alum
ham-rah mire kaun hai main kis se juda huun
ik lamha Thahar mujh ko bhi ham-rah liye chal
ai laila-e-hasti tira naqsh-e-kaf-e-pa huun
ai zabt-e-nazar de mire iman ki gavahi
tu hi to samajhta hai ki main kaun huun kya huun
chahe bhi to vo mujh se juda ho nahin sakta
vo hai miri zanjir to main us ki sada huun
main arsh-nashin bhi huun tire ghar ka makin bhi
main nik.hat-e-iman huun main bu-e-vafa huun
Leave a Reply