• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Adhura Unsur

Adhura Unsur

parvin-sheer

vo salmiyyat thi ek vahdat

vo kamiliyyat kisi tarah ek ghair-mazbut saniye men bikhar gai to

alag hua us ka ek hissa!

vo ek unsur ka ek hissa

jhatak ke daman

khala ke gahre amiiq la-vaqt faslon ko ubuur karta

hazaron sadiyon ki duriyon par chala gaya hai…..!

koi nahin janta ke kaise vo na-mukammal shikasta unsur

adhure-pan ki aziyyaton se guzar raha hai

magar vo itna to janta hai

ki jaan se bhi aziz-tar vo adhura unsur

atuut bandhan ki ek dori se be-lachak sa bandha hua hai!

hava ki dori ka ik sira us ke haath men hai

to dusra us ke haath men hai

agar ye ranjur ho gaya to

hava ke taron pe dukh ki lahren

vahan pahunch kar

use bhi dukh men lapet lengi!!

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dilon Se Tark-E-Talluq Ka Dar Nikal Jae

Shikast De Ke Mujhe Dar Par Sajata Hai

poet

Aaj Inkar Na Farmaiye Aap

Sakin-E-Alam-E-Barbaad Nahin Samjhenge

ahmad-hamdani

Nahin Milte Wo Ab To Kya Baat Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet