ye ishq agar aisa pur-asrar na hota
mansur kabhi koi sar-e-dar na hota
zanjir-zani hoti na har saans men meri
dil dard ka aise jo alam-dar na hota
phir chand nahin karta kabhi ashk-fishani
gar TuuTe sitaron ka azadar na hota
kuchh rishton ko main saath kabhi rakh nahin paati
mujh men jo agar koi adakar na hota
is dil men tira aks farozan nahin rahta
gar shisha mire dil ka chamakdar na hota
main ḳhud ko ka.i baar bana leti abhi tak
gar lams mujhe tera ye darkar na hota
gar us pe tira bhed khula hota ai saaqi
phir shaiḳh ko mai-ḳhane se inkar na hota
phir ḳhaak maza deta barasta hua savan
is rut men agar hijr ka azar na hota
sad-shukr ki aibon pe mire parda paḌa hai
kya hota agar mera vo sattar na hota
har chand ki patthar huun magar TuuT rahi huun
ai kaash tu patthar ka talabgar na hota
Leave a Reply