Koi Nashsha Na Koi KHwab KHarid

koī nashsha na koī ḳhvāb ḳharīd

tīra-baḳhtī hai māhtāb ḳharīd

hai muzayyan dukān-e-lā-adrī

sau savāloñ kā ik javāb ḳharīd

kīsa-e-tammā meñ chhupā dīnār

phir bilā ḳhauf ehtisāb ḳharīd

baḌī mabsūt hai kitāb-e-ḳhalq

koī achchhā sā intiḳhāb ḳharīd

tujh meñ hai bahr-e-be-karāñ kā vajūd

tujh se kis ne kahā habāb ḳharīd

totā-chashmī ke aib se hai paak

shakl bad hī sahī ġhurāb ḳharīd

tab kahīñ jā ke hogā tū ‘ġhālib’

asadullāh kā ḳhitāb ḳharīd

madah-ḳhvāñ hogā har varaq ‘rāhī’

sirf ik lafz-e-intisāb ḳharīd

Leave a Comment